Jaymala Gold
Presented by: S. N. Tripathi
Aired on: 4th April, 2004
Recorded in the year: 1972
Clip: 'zaraa saamane to aao chhaliye' (Rafi & Lata, 'Janam janam ke phere')
mere priya
faujii bhaa_iiyo,
liijiye mai.n aaj aapake saamane aa hii gayaa. darshak kii tarah aapane mujhe
vividh ruupo.n me.n parde par dekhaa hogaa, magar yah meraa saubhaagya hai ki 'jaymaalaa'
kaaryakram ke dvaaraa aap shrotaa banakar mujhe sun rahe hai.n. mujhe sunanaa to
ek bahaanaa hai. darasal aap vo gaane sunane ke liye baiThe ho.nge jo mere
dvaaraa aap ko sunane ko mile.nge.
to
liijiye, 'Har Har Gange' chitra kaa yah giit, Kavi Pradeep likhit aur unakaa hii gaayaa huaa, aur mai.nne sa.ngiitabaddh kiyaa huaa, suni_e...
Song: 'bhaarat
ke liye bhagavaan kaa ek varadaan hai ga.ngaa,
sach puuchho to is
desh kii pahachaan hai ga.ngaa' (Kavi Pradeep & Chorus, 'Har har Gange')
vaise to mai.n mukhyataH, shuddha bhaaratiiya sa.ngiit detaa rahaa huu.N, magar
film ke maadhyam se logo.n tak baat pahu.Nchaane me.n agar kahaanii aur sa.mvaad
bhii mere likhe hu_e ho.n, yaa phir nirdeshan meraa ho, to usakii baat hii kuchh
aur hotii hai. aisaa hii ek giit 'Rani Rupmati' film se suni_e, jise gaayaa hai
Mohammad Rafi ne, aur unakaa saath diyaa hai Krishnarao Chonkar ne...
Song: 'baaT
chalat na_ii chunarii ra.ng Daarii' (Krishnarao Chonkar & Rafi, 'Rani Rupmati')
aap kahe.nge ki avasar milaa to apane hii sa.ngiit se saje giit sunaane lagaa. vo
kahate hai.n na, 'apanaa beTaa kise achchhaa nahii.n lagataa?' magar isase yah
na ho ki aur sa.ngiitakaaro.n ke uttam kaam ke prati meraa aadar kuchh kam ho
jaa_e.
aur yahaa.N to aise-aise mahaan aur diggaj sa.ngiitakaar aa_e hai.n. in diggaj
sa.ngiitakaaro.n me.n choTii ke naamo.n me.n naam hai Naushad Ali kaa. unakii alag
hii pahachaan hai. sur chhi.Date hii maaluum ho jaataa hai ki yah Naushad-saahab
hai.n. unakaa hii sa.ngiitabaddh ek giit film 'Ganga Jumna' se aapako sunaataa
huu.N, svargiiya Shaqeel Badayuni ke bol hai.n, aur gaayaa hai kumaarii Lata
Mangeshkar ne...
Song: 'naa
maanu.N re, daGaabaaz torii batiyaa.N naa maanu.N re' (Lata, 'Ganga Jumna')
a.ntim Mughal baadshaah Bahadur Shah bahut achchhe shaayar the. Bahadur Shah kii
jiivanii par ek aitihaasik chitra ban rahaa thaa, jisakaa naam thaa 'Lal Qila'.
is chitra me.n mujhe avasar milaa ki Bahadur Shah kii lokapriya Gazal ko mai.n
apane sa.ngiit se sajaa sakuu.N.
isame.n mai.n kahaa.N tak saphal rahaa isakii aap pariiksha kar liijiye, aur
Mohammad Rafi kii sadaabahaar aavaaz me.n yah Gazal suni_e...
Song: 'na
kisii ki aa.Nkh ka nuur huu.N' (Rafi, 'Lal Qila')
Kalyanji-Anandji jaane aur maane hu_e sa.ngiitakaar hai.n. sa.ngiit kaa aisaa
ko_ii ruup nahii.n jo unase bach sakaa ho. 'Hum, tum aur woh' chitra kaa yah giit
bahirmukhii sa.ngiitapratibhaa ke gaayak Kishore Kumar kii aavaaz me.n suni_e,
bol likhe hai.n Varma Malik ne...
Song: 'priye
praaNeshvarii, hridayeshvarii' (Kishore, 'Hum, tum aur woh')
shriimatii Asha Bhosle ke baare me.n itanaa kahaa jaa sakataa hai, 'na bhuuto na
bhavishyati', na huaa aur na hogaa. saargarbhit, klishT, shaastriiya sa.ngiit se
lekar #latest pop songs, Jitterbug, Beatles,# uttaan #cabaret#, aap unase kuchh bhii
gavaa liijiye, vo aise gaa de.ngii jaise puuraa jiivan usii kii saadhanaa karatii
rahii ho.n.
unakii aavaaz
me.n B. B. Mishra ke bol, merii sa.ngiitabaddh kii hu_ii rachanaa suni_e, chitra
'Sampoorna devi darshan' se...
Song: 'tumhaare
sa.ng jiinaa thaa, tumhaare sa.ng maranaa hai' (Asha, 'Sampoorna Devi Darshan')
sa.ngiit ke mahaarathii Burman-dada film sa.ngiit ke bhiishma-pitaamah kii tarah
puujya hai.n. aaj tak aisaa ko_ii gaa.nDiiv-dhaarii nahii.n huaa, jo unake
sa.ngiit ko lalakaar sake. sa.ngiit me.n sadaara.ng, adaara.ng, manara.ng,
harara.ng praachiinkaal se hote rahe hai.n. Burman-dada kaa sa.ngiit ekara.ng hai.
jaisii bhii aavashyakataa ho, unakaa sa.ngiit vaisaa hii hotaa hai. unakaa
sa.ngiit unniis-biis ho sakataa hai, aThThaarah kabhii nahii.n.
ab unakaa ek
giit suni_e jo unniis nahii.n, biis nahii.n, ikkiis hai. is giit ko sunate hii ek
baar aur sun lene kii ichchhaa prabal ho uThatii hai. film 'Meri Surat Teri
Aankhen' kaa giit, svargiiya Shailendra kaa likhaa huaa, Manna Dey kii ma.Njhii
hu_ii aavaaz me.n suni_e...
Song: 'puuchho
naa kaise mai.nne rain bitaa_ii' (Manna Dey, 'Meri Surat Teri Aankhen')
kokilakanThii Suman Kalyanpur aur shriimatii Krishna Kalle ki aavaaz me.n Malkauns
kii ba.ndish suni_e, merii film 'Sati Sulochana' se, bol pa.nDit Bharat Vyas ne likhe
hai.n...
Song: 'aa_ii
re, aa_ii re, aa_ii re' (Suman & Krishna Kalle, 'Sati Sulochana')
kuchh logo.n ke baare me.n kahaa jaataa hai ki falaa.N vyakti itanii
bhaagyashaalii hai ki miTTii ko bhii haath lagaa_e to vo sonaa ban jaatii hai.
kumaarii Lata Mangeshkar ke liye yah baat shat-pratishat sahii baiThatii hai.
kitanii hii nagaNya sa.ngiitrachanaa kyo.n na ho, Lata-ji kii aavaaz use uu.Nchaa
kar detii hai.
'Kavi
Kalidas' kii merii is kriti ke baare me.n mai.n aaj tak nishchay nahii.n kar
paayaa ki yah vaaqai achchhii hai, yaa Lata-ji ke gaane se yah itanii achchhii
ban ga_ii hai. aap Kud sunakar faisalaa kar liijiye. is ke bol pa.nDit Bharat Vyas
ne likhe hai.n...
Song: 'shaam
bhayii, ghanashyaam na aa_e' (Lata, 'Kavi Kalidas')
sa.ngiitakaar Jaidev bhii ek vichitra hastii hai.n. ek saath adhik film me.n kaam
karane me.n vah vishvaas nahii.n rakhate. tho.De me.n nirvaah karake sukhii aur
santushT rahate hai.n. magar unakii dhune.n hameshaa bejo.D hotii hai.n -
suriilii, rasiilii aur shuddh bhaaratiiya.
'Reshma
aur Shera' chitra me.n unakaa sa.ngiit mujhe bahut pasa.nd aayaa. Kaasakar, yah
giit suni_e jo kavi Baal Bairaagi ne likhaa hai, aur kumaarii Lata Mangeshkar ne
gaayaa hai...
Song: 'tu
cha.ndaa main chaa.Ndanii' (Lata, 'Reshma aur Shera')
ab
mai.n apanii janmabhuumi, apanii aa.Nchalik(?) dharatii kii bhaashaa, Kashi kii
Bhojpuri me.n ek giit sunaauu.Ngaa. film kaa naam hai 'Bidesiya' aur is giit ko
likhaa hai pa.nDit Ram Murti Chaturvedi ne...
Song: 'tanii
najariyaa se najariyaa to milaa_ii le goriyaa' (?(male) & Chorus, 'Bidesiya')
Mukesh-ji ne mere giit bahut hii kam gaa_e hai.n - mushqil se pa.ndrah yaa biis,
bas. magar yah baat dekhanelaayak hai ki unho.ne mere liye jo bhii giit gaa_e
hai.n, vo sabhii #hit# hu_e hai.n, jaise 'nain kaa
chain churaakar
le ga_ii' - 'Chandramukhi', 'jhuumatii chalii havaa' - 'Tansen', 'aa lauT ke
aajaa mere miit' - 'Rani Rupmati', ityaadi, ityaadi. inhii.n giiton me.n se ek
suni_e...
Song: 'aa
lauT ke aajaa mere miit' (Mukesh, 'Rani Rupmati')
achchhaa to mere priya bhaa_iiyo, mujhe aaGYaa diijiye. aap desh kii rakshaa
karane me.n lag jaa_iye aur mai.n aap ke manora.njan ke liye sa.ngiit kii
srijankaarii me.n.
'jananii janmabhuumischa svargaadapi gariiyasii'