Bahaaye chaa.nd ne aa.nsuu
Song: Bahaaye chaa.nd ne aa.nsuu
Singer: Hemant Kumar
Music: Hemant Kumar
Lyric: ?
Movie: Lagan
Starring: ?
Contributor: Hrishi Dixit
bahaaye chaa.nd ne aa.nsuu zamaanaa chaa.ndanii samajhaa
kisii ke dil pe huuk uThii to koii raaginii samajhaa
chhupaayaa is tarah Gam ko zamaane kii nigaaho.n se
zamaane kii nigaaho.n se
meraa Gam dekhanevaalaa mere Gam ko khushii samajhaa
bahaaye chaa.nd ne aa.nsuu \threedots
chaman ko chhoDakar maine guzaarii zi.ndagii aise
guzaarii zi.ndagii aise
ke jo kaa.nTaa nazar aayaa usii ko mai.n kalii samajhaa
bahaaye chaa.nd ne aa.nsuu \threedots
..Hrishi
[#0-#19][#20-#39]
[#40-#59]
Back to the main archive page